Ticker

3/recent/ticker-posts

Main Bas Kehti Nahi Lyrics - King

Main Bas Kehti Nahi Lyrics - King

Singer  King

Music  Section 8

Lyrics  King



Main Bas Kehti Nahi Lyrics

Karti rehti intezar tera

Tujhko na sharm aati hai

Na hayaa aati hai

Upar se itna hai katthor

Tujhko batein na narm aati hai

Na dayaa aati hai

 

Dil se khelne ka hai shauk bada

Kal raat poori tu bahut laa da

 

Main kis se kahun

Ke tu pehle jaisa nahi

Meri galtiyan to tu dekhe bada

Khud galtiyon pe tu poora khada

Main kis se kahun

Ke tu baat sunta nahi

 

Kab kahaan jaata hai jo batata nahi

Wo bhi pata hai main bas kehti nahi

Chehra utra hua ab hasata nahi

Kaisi saza hai main bas kehti nahi

 

Aakhiri baar kab theek se ki thi baat

Isko puchho koyi maanta hi nahi

Upar se banta anjan

Jaise mujhko to yeh jaanta hi nahi

 

Jhooth se khelne ka hai shok bada

Khud waadiyon mein tu pahuch gaya

Main kis se kahun

Tu mere sath chalta nahi

 

Tujhpe zor mera abb chalta kahan

Mujhe dar hai kahin tu chhod gaya

Main kis se kahungi

Tu mujhko hi samajhta nahi

 

Kab kuch kehta nahi kab sab keh jaata hai

Yeh bhi pata hai main bas kehti nahi

Rishta rootha hua abb manata nahi

Kaisi raza hai main bas kehti nahi

 

Aye tujhe kuch pata tere bina

Kaisa beeta mera pal hai

Ek hafte se teri na khabar

Bata kahan aaj kal hai

 

Tu mujhko bhej koyi jawaab

Mera din bann jaayega

Tu khud se baat karta nahi

Kya mera phone uthayega

 

Ho tujhko khelne ka hai shok bada

Main zakhm dekhu tu karde mana

Sab dekh rahe ke tera ghav chhupta nahi

 

Tujhpe zor mera abb chalta kahan

Mujhe dar hai kahin tu chhod gaya

Main kis se kahungi

Tu mujhko hi samajhta nahi

 

Ab bata mujhko yeh

Apni choton se bhi koyi bacha hai

Tu bas kehta nahi

 

Dil hai toota hua ye tujhe bhi pata

Mujhko bula le khud sab sehte nahi

 

Kab kahaan jaata hai jo batata nahi

Wo bhi pata hai main bas kehti nahi

Chehra utra hua abb hasata nahi

Kaisi saza hai main bas kehti nahi

Post a Comment

0 Comments